शुक्रवार, 12 अक्तूबर 2007

Employee number 786


Mein employee number 786 office ki khidki se bahar dekhta hoon

Din mahine saalon ko yug mein badalte dekhta hoon

Is laptop se garam garam cpu ki hawa aati hai

Iski hard disk bhi ek ajeeb sa raag sunati hai

Yeh screen pe lag wall paper mujhe shimla ki sair karwata hai

Aur yeh email mujhe har pal mere apno ke sandese lata hai

Woh. Kehte hai ki yeh project mera hai

Phir kyun yeh mujhe apna sa nahi lagta hai

Who. Kehte hai ki yeh module mujhe karma hai

Phir kyun mera mann isme nahi lagta hai

Mein employee number 786 office ki khidki se bahar dekhta hoon

Door sapno ke gaun se utri

Ek nanhi pari ko dekhta hoon

Kehti hai khud ko woh consultant aur mujhe candidate bulati hai

Hai bilkul begani par apno se zid who karti hai

Uski baato se phir mera job change ko mann karta hai

Uski promises pe phir se interview dene ko mann karta hai


mein employee number 786 office ki khidki se bahar dekhta hon

mere sapno ke rango mein lipta ek naya offer letter mein dekhta hoon

mere profile se match karti, apni requirements bhool chuki woh

mere products pe kaam karti

apne products sab chhod chuki who

uska employee count badaane kao ab jee karta hai

uske liye naya product banana ka jee karta hai

woh kehti hai mein, mera product uska hai

phir kyun woh aur candidates bhi recruit karti hai

woh kehte ki tum hi bas ab product banaoge

phir kyun woh dusro ko bhi yeh kehti hai

mein employee number 786 office ki khidki se bahar dekhta hoon

woh kehte hai ki woh company ab meri hai

phir kyun woh mujhe hike nahi dete hai

woh kehte hai ki sab milega tumhe

phir kyun woh promotion nahi dete hai ...

mein employee number 786...................


-tarun

(Written at Agilent Technologies, 6th Floor...)

1 टिप्पणी: